best topic

India ke Top 5 Bloggers aur unke Blogs

Kya aapko pata hai india me kuch aise bloggers hai jo ki lakho rupay kamate hai sirf blogging se. Agar aap nahi jante toh aapko unke bare me jan lena chahiye aap in logose bahot inspired honge aur blogging se paise kama payenge. Ye bloggers log koi special log nahi hai aap ke aur meri tarah aam insaan hai jo ki bahot sara paisa kama rahe hai blogging se.
Ye bloggers jitna paisa kama rahe hai utna koi docter ya engineer bhi nahi kama sakta. Docter ya engineer ban ne ke liye hume kai salo tak mehnat karni padti hai uske baad humari income shuru hoti hai. Lekin blogging start karne ke liye hume koi bhi investment karne ki jarurat nahi hoti hum free me aapna koi bhi blog bana sakte hai. Blogging se paise kamane ke liye aapko kahi jane ki jarurat nahi hoti wo aap aapne desktop se start kar sakte hai. Blogging kafi simple bhi hai hum aapna blog banate hai uspe posting karte hai fir wo hum aapne dosto ke sath social media pe share karte hai fir 3 months baad search engine aur soacial media se humari site per traffice aane lagta hai, traffice aane ke baad hum humari site per ads lagate hai aur ads ke paise hume milte hai. Ye jo top 10 Indian bloggers Aaj Aur Bhi Hai Young Kafi Hai wo wo lakho Rupay Kama Rahe Hai Sirf SE Blogging.  


Top 5 India Ke Bloggers Ki Income aur Blogs

Ye jo information publish ki gai hai ye 100% sahi hai isme koi baat jhut nahi hai. Just aap logoko pata chale aur aap unse inspired ho is liye ye post ki gayi hai.

1. Amit Agarwal
Amit Agrawal ji indian blogging ke nirmata hai. Wo number one ke Technology blogger hai. Unke blogging me ekdaam naya pan hai jo ki kisi aur blogger me nahi hai.
no1 indian blogger amit agrawal

Blogging ki wajay se unone aapna regular job chod diya aur ek technology blog banaya labnol.org jo kuch hi mahino ke bad bahot chalne laga.
Kuch mahino ke bad unka blog Rs. 10,00,000 / - per month kamane laga aise hi kamate kamte kuch sal baad unki income Rs. 20,00,000 se Rs. 30,00,000 per month ho gayi.

  • Name - Amit Agrawal
  • Blog -  Labnolkorg
  • Earning - $ 60,000 per month = INR 30,00,000 / - lagbhag

2. Faisal Farooqui
Faisa Farooqui ye mouth shut ke founder hai. Faisal Farooqui ne aapni padai New York Binghamton University me complete ki. Wo USA aur India bahot aana jana karte hai.
india ke top 10 bloggers

  • Name - Faisal Farooqui
  • Blog -  Mouthshutkcom
  • Earnings: $ 2 million to $ 3 million per year lagbhag

3. Amit Bhavani
Amit bhavani ne apna blog 2007 me banaya tha. Unka blog all technology se related hai, Aur Wo aapne blog par mobile, tablets aur puri world ki technology news ye jankari likhte hai.
Unke blog ki jyada se jyada income $ 25,000 per months hai jo ki rupees me Rs 700,000 / - per month se bhi jyada hai. Unka blog kafi famous hai. AndroidAdvices.com ye unka dusra blog hai.
amit Bhawani best indian blogger
  • Name - Amit Bhawani
  • Blog -  Amitbhawanikcom
  • Earnings - Around $ 25,000 / month = Rs 700, 000 / -

4. Harsh Agrawal
Harsh agrawal ek bahot young blogger hai. Ek saal pehne unone Swift diesel car kharidi blogging se paise kamakar.

Harsh agrawal ek softwear company me job karte the jiska name Convergys tha. unone job chodkar blogging start kee. Unka blog WordPress, blogging, seo ETC se related hai aur wo September of 2008 me launch hua tha.
Harsh agrawal top indian blogger
  • Name - Harsh Agrawal
  • Blog -  Shoutmeloudkcom
  • Earnings - $ 6,000 to $ 8000 per month = Rs 350,000 / - to Rs 450,000 / -

5. Srinivas Tamada
Srinivas Tamada ye chennai ke blogger hai. Unka blog programming ke bare me hai like PHP, Ajax aur other web languages. Srinivas ye 20+ hai aur unka blog ache paise kamate hai.
Srinivas Tamada best indian blogger
Name - Srinivas Tamada
Blog -  9lessonskinfo
Earnings - $ 4,000 to $ 7,000 per month = Rs. 200,000 / - to Rs 350,000 / -

Srinivas Tamada ne aapni income kabhi publish nahi ki hai. Ye mera guess hai wo Harsh Agrawal jitne paise kamate honge us se jyada nahi.

I hope aapko ye post pasand aagai hogi aur in logo se inspired bhi ho gaye honge. Agar aapko koi best blogger pata hai toh comment jarur kare happy blogging.

1 comment

New Offer Deals said...

Comments karna na bhule

Powered by Blogger.